Tere harf-o-lab ka talism tha, meri aab-o-tab me reh gaya
Woh kisi gulab ka jism tha, jo meri kitab me reh gaya
Woh kisi gulab ka jism tha, jo meri kitab me reh gaya
Main kahan sarapa-e-naz thi, mujhe yad hy shab-e-tairge
Yeh kisi k lams ka mojaza, jo mere shabab me reh gaya
Meri bat bat me roshni, mere harf harf me dilkashi
Tu mere sharek-e-visal-e-jan, meri har kitab me reh gaya
Dil-e-khush guman teri khair ho, tu hy phir yaqeen ki saleeb per
Tujhe phir kisi se shikayatain, tu isi azab me reh gaya
Tujhe kia mila dil-e-mubtala, na koi dua na kahen wafa
Magar aik arsa-e-raigan, jo tere hisab me reh gaya
Tha ajeeb alam-e-bedili, tha kahen taqaza-e-dilbari
Woh zara sa pas-e-juno kahen, shab-e-mehtab me reh gaya
Woh jo mera ehad-e-jamal tha, woh jo mera shehar-e-khayal tha
Magar us ka zikar-e-kamal bhi, kahen harf-e-khawab me reh gaya
No comments:
Post a Comment