Udas logon se payar karna koi to sekhey Sufaid lamhon me rang bharna koi to sekhey Koi to aye khizaan me patey uganey wala Gulon ki khusbo ko qaid karna koi to sekhey Koi dikhaye mohabaton chiragh mujhko Meri nigaahon se baat karna koi to sekhey Koi to aye nai ruton ka paigham ly kar Andehri raton ko me chand ban'na koi to sekhey
Sab qareney usi dildaar k rakh daity hen Hum ghazal me b hunar yar k rakh daity hen Shyd aa jain kbhi chasm-e-kharidar me hum Jan-o-dil baich k bazar me rakh daity hen Zikar-e-Jana me ye dunia ko kahan ly aaye Log kiun mas'aley bekaar k rakh daity hen Hum to chahat me b Ghalib k muqlid hen Faraz Jis py marty hen usy mar k rakh daity hen
Qurb k na wafa k hoty hen Sary jhagrey ana k hoty hen Bat niyat ki hy sirf warna Waqt sary dua k hoty hen Bhool jaty hen mat bura kehna Log putley khata k hoty hen Woh jo bazahir kuch nahi lagty Un se rishty bala k hoty hen Woh hamara hy is trah se Faiz Jaise bandy khuda k hoty hen