Showing posts with label shair. Show all posts
Showing posts with label shair. Show all posts

Tuesday, 15 March 2016

Love Ghazal "Mujhe Koi Sham Udhar Do"

























Tumhen jab milein kabhi fursatain mere dil se bojh utar do
Main bohat dino se udas hon mujhe koi sham udhar do

Mujhe apne roop ki dhop do k chamak saken mere khad-o-khal
Mujhe apne rang me rang do mere sary rang utar do

Kisi aur ko mere haal se na gharaz hy koi na koi wasta
Main bikhar gaya hon simait do main bigar gaya hon sanwar do

Meri wehshaton ko barha dia hy judaion k azab ne
Mere dil py hath rakho zara meri dharkano ko qarar do

Tumhen subha kesi lagi meri khawahishon k diyar ki
Jo bhali lagi to yahen raho isy chahaton se sanwar do

Wahan ghar me kon hy muntazir k fikar ho dair sawair ki
Bari mukhtasar c yeh rat hy isy chandani me guzar do

Monday, 14 March 2016

Aik Shair




















Main to pehron tumhen sochti rehti hon
Tumhen aik lamhy k liey b mera khyal nahi ata?

Love Ghazal "Woh Payar Karta To"



















Main qadren sab luta deti, woh aitbar karta to
Han main sab luta deti, gar woh payar karta to

Udasi mujhe uski qat'an ganwara na thi
Main ho jati ghayal, gar woh waar karta to

Main chun chun k phool barsati us par
Per mere naam koiwoh bahar karta to

Ana py chot sehna dushwar to hai
Main har jati agar woh takrar karta to

Sunday, 13 March 2016

Sary Jhagrey Ana K Hoty Hen





















Qurb k na wafa k hoty hen
Sary jhagrey ana k hoty hen

Bat niyat ki hy sirf warna
Waqt sary dua k hoty hen

Bhool jaty hen mat bura kehna
Log putley khata k hoty hen

Woh jo bazahir kuch nahi lagty
Un se rishty bala k hoty hen

Woh hamara hy is trah se Faiz
Jaise bandy khuda k hoty hen